jo  ruḳh  se  parda  uThāo  to  koī  baat  bane
hameñ  bhī  jalva  dikhāo  to  koī  baat  bane
hamāre  sāmne  aao  to  koī  baat  bane
hamāre  hosh  uḌaao  to  koī  baat  bane
sunā  hai  tuur  pe  muusā  gire  the  sajde  meñ
hameñ  bhī  sajda  karāo  to  koī  baat  bane
ġhamoñ  kī  aag  hai  dil  meñ  jahān  jaltā  hai
zarā  ye  aag  bujhāo  to  koī  baat  bane
ajiib  Dhañg  se  toḌā  hai  dil  mohabbat  ne
ise  bhī  aas  bañdhāo  to  koī  baat  bane
bahut  udaas  hai  tārīk  hai  jahāñ  merā
kahīñ  se  raushnī  laao  to  koī  baat  bane
ḳhirad  ke  diip  bujhe  chaar  sū  añdherā  hai
jalāo  dil  hī  jalāo  to  koī  baat  bane
azal  se  naam  sunā  hai  sharāb-e-vahdat  kā
kabhī  hameñ  bhī  pilāo  to  koī  baat  bane
yūñhī  guzār  dī  jo  zindagī  to  kyā  hāsil
kisī  ke  kaam  jo  aao  to  koī  baat  bane
sunā  hai  ham  ne  dikhāte  ho  mo.ajaze  aksar
maiñ  gir  gayā  huuñ  uThāo  to  koī  baat  bane
vo  jis  meñ  naam  tumhārā  hamārā  aatā  hai
vahī  fasāna  sunāo  to  koī  baat  bane
tumhārā  tark-e-mohabbat  bhī  nā-mukammal  hai
ḳhayāl  meñ  bhī  na  aao  to  koī  baat  bane
fareb  khaa.e  haiñ  'hairat'  tarah  tarah  ke  magar
fareb-e-ishq  bhī  khaao  to  koī  baat  bane