dil  ro  rahā  hai  aañkh  meñ  lekin  namī  nahīñ
jiine  ko  jī  rahā  huuñ  magar  zindagī  nahīñ
us  ko  na  pā  sake  jise  chāhā  tamām  umr
yuuñ  to  mujhe  jahān  meñ  koī  kamī  nahīñ
thā  pās-e-ābrū-e-mohabbat  tamām  umr
ik  buuñd  bhī  palak  se  hamārī  girī  nahīñ
rahmat  kā  kyā  javāb  hai  terī  vagarna  yaañ
vo  kaun  sī  ḳhatā  hai  jo  ham  se  huī  nahīñ
'hairat'  laboñ  ko  sī  ke  guzārī  tamām  umr
is  zindagī  se  phir  bhī  hamārī  banī  nahīñ