shauqīn  mizājoñ  ke  rañgīn  tabī.at  ke
vo  log  bulā  laao  namkīn  tabī.at  ke
dukh-dard  ke  peḌoñ  par  ab  ke  jo  bahār  aa.ī
phal  phuul  bhī  aa.e  haiñ  ġhamgīn  tabī.at  ke
ḳhairāt  mohabbat  kī  phir  bhī  na  milī  ham  ko
ham  laakh  nazar  aa.e  miskīn  tabī.at  ke
ab  ke  jo  nasheboñ  meñ  parvāz  hamārī  hai
ham  kaun  se  aise  the  shāhīn  tabī.at  ke
dekhī  hai  bahut  ham  ne  ye  film  ta.alluq  kī
kuchh  bol  takalluf  ke  kuchh  scene  tabī.at  ke
is  umr  meñ  milte  haiñ  kab  yaar  nashe  jaise
daarū  kī  tarah  tīkhe  kokīn  tabī.at  ke
ik  umr  to  ham  ne  bhī  bharpūr  guzārī  hai
do-chār  muḳhālif  the  do-tīn  tabī.at  ke
tum  bhī  to  miyāñ  'fāzil'  apnī  hī  tarah  ke  ho
dīñ-dār  zamāne  ke  be-dīn  tabī.at  ke