mere  hoñToñ  pe  tere  naam  kī  larzish  to  nahīñ
ye  jo  āñkhoñ  meñ  chamak  hai  koī  ḳhvāhish  to  nahīñ
rañg  malbūs  hue  lams  huī  hai  ḳhush-bū
aaj  phir  shahr  meñ  phūloñ  kī  numā.ish  to  nahīñ
ek  hī  saañs  meñ  dohrā.e  chale  jaate  haiñ
ye  mohabbat  kahīñ  alfāz  kī  varzish  to  nahīñ
dekhtā  rahtā  huuñ  chup-chāp  guzarte  bādal
ye  ta.alluq  bhī  koī  dhuup  kī  bārish  to  nahīñ
tum  kabhī  ek  nazar  merī  taraf  bhī  dekho
ik  tavaqqo  hī  to  hai  koī  guzārish  to  nahīñ
mil  bhī  jaa.eñ  kahīñ  āñkheñ  to  marammat  na  kareñ
ham  meñ  aisī  koī  talḳhī  koī  ranjish  to  nahīñ