Fazil Jamili

tumne puchha hai to ahwal bata dete hain

Fazil Jamili

Pind khan Khel, Khyber Pakhtunkhwa, Pakistan

1968
tum ne pūchhā hai to ahvāl batā dete haiñ
varna chehre bhī mah-o-sāl batā dete haiñ
ruuh kā haal bhī ai kaash batā.e koī
dil kī hālat to ḳhad-o-ḳhāl batā dete haiñ
ab marāsim bhī bisātoñ pe saje mohre haiñ
kaun sī kis ne chalī chaal batā dete haiñ
kis meñ ab kitnī uḌānoñ kī sakat baaqī hai
har parinde ke par-o-bāl batā dete haiñ
dil ke ġhunche bhī the ma.asūm hamāre jaise
kis ke hāthoñ hue pāmāl batā dete haiñ
hākim-e-vaqt ko kis kis ne salāmī dī hai
kis kī taalī meñ hai sur-tāl batā dete haiñ
ghar kī dīvār se girte hue roġhan kī tarah
ab mirī umr mire baal batā dete haiñ
Top Urdushayar.com