tirī  talāsh  meñ  jo  ḳhud  ko  bhuul  aa.e  the
patā  vo  apnā  kabhī  DhūñDne  na  paa.e  the
kise  ḳhabar  thī  ki  phūloñ  meñ  bhī  hunar  hai  vahī
kis  ehtiyāt  se  kāñToñ  se  bach  ke  aa.e  the
vo  be-hisī  kā  thā  aalam  zarā  ḳhabar  na  huī
ki  raushnī  thī  sar-e-rahguzar  ki  saa.e  the
kināre  duur  bahut  duur  the  tū  majbūran
samundaroñ  meñ  hī  logoñ  ne  ghar  basā.e  the
har  ek  buuñd  ka.ī  bijliyoñ  kī  hāmil  thī
shadīd  barkhā  ne  bastī  ke  ghar  jalā.e  the
ye  kaise  bojh  chale  aa.e  phir  se  palkoñ  par
ki  ik  zamāne  par  ham  aaj  muskurā.e  the