maqtal  se  jab  guzar  ke  harīfāna  aa.iye
ik  dasht-e-be-kanār  meñ  phir  ghar  banā.iye
tārīk  ho  na  paa.e  kabhī  dāman-e-falak
palkoñ  se  tā-ba-sub.h  sitāre  jalā.iye
hone  na  paa.e  phūloñ  kā  muhtāj  gulistāñ
dil  ke  hazār  zaḳhm  hamesha  khilā.iye
chehroñ  ko  qaid  se  hue  āzād  gar  kabhī
bikhre  hue  vajūd  ko  kaise  bachā.iye
sāhil  na  de  sakā  hai  sahārā  to  kyā  huā
gardāb  ko  asīr-e-safīna  banā.iye