tah-e-girdāb  to  bachnā  mirā  dushvār  hai  phir  bhī
kināre  duur  haiñ  TuuTī  huī  patvār  hai  phir  bhī
thakan  se  chuur  huuñ,  sar  rakh  diyā  hai  us  ke  siine  par
mujhe  ma.alūm  hai  ye  ret  kī  dīvār  hai  phir  bhī
matā-e-rishta-e-jāñ  kārobār-e-manfa.at  kab  thī
ḳharīdāroñ  ke  halqe  meñ  sar-e-bāzār  hai  phir  bhī
mirī  muTThī  meñ  nāzuk  pañkhuḌī  mahfūz  rahtī  hai
bachānā  sañg-bārī  meñ  use  dushvār  hai  phir  bhī
tire  lahje  kī  shabnam  jazb  kar  de  kuchh  namī  is  meñ
agarche  dil  sulagtī  ret  kā  ambār  hai  phir  bhī
charāġh-e-ārzū  hai  muntazir  dahlīz  par  merī
vo  duurī  ke  dhuñdlakoñ  meñ  bahut  lāchār  hai  phir  bhī
samundar  tishnagī  kā  ab  sarāb-e-ishq  meñ  zam  hai
shikasta  haal  merā  shīsha-e-pindār  hai  phir  bhī
ye  miTī  chaak  par  thamtī  nahīñ  hai,  itnī  giilī  hai
kaThin  ye  marhala  hai,  kūza-gar  lā-chār  hai  phir  bhī