Bayan Meeruti

khula hai jalwa-e-pinhan se az-bas chaak wahshat ka

Bayan Meeruti

Jhansi, Uttar pradesh, India

1840-1900
khulā hai jalva-e-pinhāñ se az-bas chaak vahshat kā
maiñ Dartā huuñ kahīñ parda na phaT jaa.e haqīqat kā
kahāñ le jā.egā yārab samand-e-tund vahshat kā
ki pīchhe rah gayā kosoñ dorāhā nār-o-jannat kā
ġhubār-e-rañg-e-parrāñ hai pharerā terī rāyat kā
shikast-e-qalb-e-āshiq ġhalġhala hai terī nusrat kā
kiyā hai qasd kis ke kañgur-e-aivān-e-rif.at kā
ki thāmā hai tire naale ne paaya arsh-e-himmat kā
jhukā dī qudsiyoñ ne be-takalluf gardan-e-tā.at
zahe-rutba kaf-e-ḳhāk-e-dar-e-vālā-e-daulat kā
khule kis tarah parda parda-e-gosh-e-tahayyur par
ki be-saut-o-sadā hai parda sāz-e-bazm-e-vahdat kā
sanam tāq-e-haram se daf.atan nīche utar aa.e
adab thā bas ki vājib dost ke qāsid ke tal.at kā
hijāb-e-tan kasād-e-raunaq-e-kālā-e-yūsuf hai
taraddud kyā hai zindāñ-ḳhāna-e-hijrāñ se hijrat kā
salātīñ ko nahīñ paatā mizāj un ke faqīroñ kā
ki anqā-e-falak-parvāz hai qāf-e-qanā.at kā
lab-e-asnām haiñ qand-e-suḳhan se sar-ba-mohr ab tak
ḳhamoshī se maza pūchhe koī terī fasāhat kā
maze milte haiñ kyā kyā ishq ke lazzat-shanāsoñ ko
hameñ dāmān-e-zaḳhm-e-dil evaz hai ḳhvān-e-ne.amat kā
tire hairat-kade meñ farsh hai ā.īna kyā o but
ki ḳhāsan-e-dar-e-daulat ko hī khaTkā hai zillat kā
nigah be-his ḳhat-e-sāġhar kī sūrat hai ki saaqī ne
diyā hai mardum-e-chashm-e-jahāñ ko jaam hairat kā
talāsh-e-jalva-e-mānī meñ Takrāyā kiye sajde
na TuuTā dast-e-ḳhushk-e-zohd se but-ḳhāna sūrat kā
qayāmat-e-barhamī Daalī to hijrāñ kī ghaḌī guzrī
zamīñ hai gard shīsha āsmāñ shīsha hai saa.at kā
butoñ par laat maarī mehr-o-mah se pher liiñ āñkheñ
'bayāñ' allāh re ġhamza mire husn-e-aqīdat kā
Top Urdushayar.com