khulā  hai  jalva-e-pinhāñ  se  az-bas  chaak  vahshat  kā
maiñ  Dartā  huuñ  kahīñ  parda  na  phaT  jaa.e  haqīqat  kā
kahāñ  le  jā.egā  yārab  samand-e-tund  vahshat  kā
ki  pīchhe  rah  gayā  kosoñ  dorāhā  nār-o-jannat  kā
ġhubār-e-rañg-e-parrāñ  hai  pharerā  terī  rāyat  kā
shikast-e-qalb-e-āshiq  ġhalġhala  hai  terī  nusrat  kā
kiyā  hai  qasd  kis  ke  kañgur-e-aivān-e-rif.at  kā
ki  thāmā  hai  tire  naale  ne  paaya  arsh-e-himmat  kā
jhukā  dī  qudsiyoñ  ne  be-takalluf  gardan-e-tā.at
zahe-rutba  kaf-e-ḳhāk-e-dar-e-vālā-e-daulat  kā
khule  kis  tarah  parda  parda-e-gosh-e-tahayyur  par
ki  be-saut-o-sadā  hai  parda  sāz-e-bazm-e-vahdat  kā
sanam  tāq-e-haram  se  daf.atan  nīche  utar  aa.e
adab  thā  bas  ki  vājib  dost  ke  qāsid  ke  tal.at  kā
hijāb-e-tan  kasād-e-raunaq-e-kālā-e-yūsuf  hai
taraddud  kyā  hai  zindāñ-ḳhāna-e-hijrāñ  se  hijrat  kā
salātīñ  ko  nahīñ  paatā  mizāj  un  ke  faqīroñ  kā
ki  anqā-e-falak-parvāz  hai  qāf-e-qanā.at  kā
lab-e-asnām  haiñ  qand-e-suḳhan  se  sar-ba-mohr  ab  tak
ḳhamoshī  se  maza  pūchhe  koī  terī  fasāhat  kā
maze  milte  haiñ  kyā  kyā  ishq  ke  lazzat-shanāsoñ  ko
hameñ  dāmān-e-zaḳhm-e-dil  evaz  hai  ḳhvān-e-ne.amat  kā
tire  hairat-kade  meñ  farsh  hai  ā.īna  kyā  o  but
ki  ḳhāsan-e-dar-e-daulat  ko  hī  khaTkā  hai  zillat  kā
nigah  be-his  ḳhat-e-sāġhar  kī  sūrat  hai  ki  saaqī  ne
diyā  hai  mardum-e-chashm-e-jahāñ  ko  jaam  hairat  kā
talāsh-e-jalva-e-mānī  meñ  Takrāyā  kiye  sajde
na  TuuTā  dast-e-ḳhushk-e-zohd  se  but-ḳhāna  sūrat  kā
qayāmat-e-barhamī  Daalī  to  hijrāñ  kī  ghaḌī  guzrī
zamīñ  hai  gard  shīsha  āsmāñ  shīsha  hai  saa.at  kā
butoñ  par  laat  maarī  mehr-o-mah  se  pher  liiñ  āñkheñ
'bayāñ'  allāh  re  ġhamza  mire  husn-e-aqīdat  kā