ye  maiñ  kahūñgā  falak  pe  jā  kar  zamīñ  se  aayā  huuñ  tañg  aa  kar
jo  ai  masīhā  tū  hai  masīhā  to  kuchh  mire  dard  kī  davā  kar
tumhāre  jalve  ġhazab  ke  dekhe  tumhāre  chhīñTe  balā  ke  paa.e
lagā  lagā  dī  bujhā  bujhā  kar  bujhā  bujhā  dī  lagā  lagā  kar
zideñ  mohabbat  se  aisī  aa.iiñ  ḳhayāl  rakkhā  na  apne  ghar  kā
butoñ  ne  ka.abe  ko  muft  Dhāyā  kisī  ke  dil  ko  dukhā  dukhā  kar
vo  shoḳh  be-e'tibār  kāfir  rahā  na  tanhā  gayā  na  tanhā
jo  dard  uTThā  uThā  uThā  kar  to  dil  ko  baiThā  biThā  biThā  kar
ye  zor  hirmān-o-yās  kā  hai  asar  kahāñ  kā  mirī  fuġhāñ  ko
paTak  paTak  ḳhaak  par  diyā  hai  falak  se  ūñchā  uThā  uThā  kar
gudāz  karte  haiñ  mere  dil  ko  vo  yuuñ  biThāte  haiñ  apnā  sikka
jalī  kaTī  ho  rahī  hai  kyā  kyā  adū  se  mujh  ko  sunā  sunā  kar
sunī  kisī  ne  sadā-e-tūtī  na  hālat-e-andalīb  dekhī
jo  kor  thī  is  chaman  meñ  nargis  to  gul  bhī  ai  ham-safīr  thā  kar
kahīñ  na  zulfoñ  se  khul  paḌā  ho  mujhe  hai  andesha  apne  dil  kā
ki  purze  purze  uḌā  rahā  thā  adū  koī  shai  dikhā  dikhā  kar
vo  but  ki  deñ  us  ko  to  na  gar  de  to  laakh  tūfāñ  uThā  ke  dhar  de
zabān  phir  saaf  qat.a  kar  de  jo  muñh  se  nikle  ḳhudā  ḳhudā  kar
ilāhī  hañgām-e-āmad-āmad  ye  kis  qayāmat-ḳhirām  kā  hai
khisak  chale  sehn-e-bostāñ  se  tadrau-o-tā.ūs  dum  dabā  kar
falak  huā  mehrbāñ  phire  din  shab-e-visāl  aa  ga.ī  to  is  ne
bahār-e-lutf-o-karam  dikhā  kar  naqāb-e-sharm-o-hayā  uThā  kar
kabhī  hañsāyā  kabhī  rulāyā  kabhī  rulāyā  kabhī  hañsāyā
jhijak  jhijak  kar  simaT  simaT  kar  lipaT  lipaT  kar  dabā  dabā  kar
'bayāñ'  hai  vo  bādshāh-e-asrā  ki  jis  kī  dargāh-e-ḳhusravī  meñ
diyā  zamīn-e-adab  ko  bosa  falak  ne  gardan  jhukā  jhukā  kar