ā.eñge  gar  unheñ  ġhairat  hogī
vo  na  aa.e  to  qayāmat  hogī
hashr  meñ  kaun  sunegā  fariyād
sadd-e-rah  hadd-e-samā.at  hogī
nañg-e-nazzāra  hai  ham  chashma-e-ām
ham  na  dekheñge  jo  rūyat  hogī
yak  taraf  ho  ke  raheñge  yak-rañg
ham  ko  a.arāf  se  nafrat  hogī
shikva  hai  dīn-e-vafā  meñ  ehdās
mujh  se  kaahe  ko  ye  bid.at  hogī
haiñ  qayāmat  meñ  tāmmul  kyā  kyā
vasl  kī  kaun  sī  saa.at  hogī
reg  huuñ  chāhiye  dariyā-e-sharāb
mai-kade  par  na  qanā.at  hogī
hai  shab-e-vasl-e-do-ālam  gesū
vo  jabīñ  sub.h-e-shahādat  hogī
bahr-e-rahmat  hai  do-ālam  ko  muhīt
mere  mashrab  kī  sī  vus.at  hogī
mai  se  ālūda  huā  dāman-e-husn
muttahim  ḳhuun  kī  tohmat  hogī
khīñchtā  thā  koī  un  kā  dāman
ḳhaak  meñ  vasl  kī  hasrat  hogī
raas  hai  chāra-e-bil-misl  mujhe
qaid  se  aur  bhī  vahshat  hogī
sho.ala-rū  paḌhte  haiñ  kalima  terā
sham.a  añgusht-e-shahādat  hogī
ġhair  kī  aag  meñ  jalne  na  diyā
husn  kī  sī  kise  ġhairat  hogī
vāshuda  ġhuncha-e-ḳhātir  mat  maañg
muntashir  bū-e-mohabbat  hogī
zahr  lagtī  hai  unheñ  merī  hayāt
kyuuñ  ki  manzūr-e-shahādat  hogī
khā  ga.e  nargis-e-shahlā  kā  fareb
ki  un  āñkhoñ  meñ  muravvat  hogī
terī  zulfoñ  ne  chaḌhā.e  chille
dil  kī  is  kūche  meñ  turbat  hogī
ban  ga.e  saat  jahannum  tah-e-ḳhāk
kis  ke  pahlū  meñ  ye  hiddat  hogī
kahīñ  sar  phoḌ  ke  mar  rahiye  'bayāñ'
ik  jahāñ  se  to  farāġhat  hogī