ai  junūñ  haath  ke  chalte  hī  machal  jā.ūñgā
maiñ  garebān  se  pahle  hī  nikal  jā.ūñgā
vo  haTe  aañkh  ke  aage  se  to  bas  sūrat-e-aks
maiñ  bhī  us  ā.ina-ḳhāne  se  nikal  jā.ūñgā
mehr  tum  soḳhta  maiñ  shīsha-e-ātish  hai  raqīb
us  pe  Dāloge  tajallī  to  maiñ  jal  jā.ūñgā
mujh  se  kahtā  hai  mirā  dūd-e-jigar  sūrat-e-sham.a
dil  meñ  rokoge  to  maiñ  sar  se  nikal  jā.ūñgā
sham.a-sāñ  barsar-e-mahfil  na  jalā  dekh  mujhe
phail  jā.ūñgā  sitamgar  jo  pighal  jā.ūñgā
Thahar  ai  mehr  zarā  sub.h-e-shab-e-vasl  hai  aaj
baam  par  dhuup  chaḌhegī  to  maiñ  Dhal  jā.ūñgā
roktā  huuñ  kabhī  shoḳhī  se  to  har  tifl-e-sarishk
ro  ke  kahtā  hai  abhī  ghar  se  nikal  jā.ūñgā
kār-e-imroz  ba-fardā  ma-guzār  ai  vaa.iz
aaj  is  kūche  meñ  huuñ  ḳhuld  meñ  kal  jā.ūñgā
kaun  uThā.egā  ilāhī  shab-e-ġham  kī  uftād
muñh  ko  aatā  hai  kaleja  ki  nikal  jā.ūñgā
le  ke  āñkhoñ  meñ  tirā  jalva  kahāñ  jā.egā
ġhair  ko  dekh  ke  maiñ  aañkh  badal  jā.ūñgā
har  tarah  haath  meñ  hoñ  gosha-e-dāman  kī  tarah
vo  sambhāleñge  jo  mujh  ko  to  sambhal  jā.ūñgā