sub.h  qayāmat  aa.egī  koī  na  kah  sakā  ki  yuuñ
aa.e  vo  dar  se  nā-gahāñ  khole  hue  qabā  ki  yuuñ
gauhar-e-nāb-sūda  ko  zulf  meñ  mat  dikhā  ki  yuuñ
merī  kamand-e-shauq  meñ  raat  ke  vaqt  aa  ki  yuuñ
kyuuñ  ki  jhuke  nasīm  se  soche  thī  nargis-e-chaman
dekh  ke  chashm-e-nāz  ko  aane  lagī  hayā  ki  yuuñ
chāhte  the  shuhūd  meñ  ġhaib  kā  rañg  dekhnā
merī  zi-ḳhvesh-e-raftagī  ban  ga.ī  rahnumā  ki  yuuñ
sahv  thī  vaz-e-ḳhāstan  bistar-e-aish-e-vasl  se
dekh  ke  un  kī  shoḳhiyāñ  fitna  huā  bapā  ki  yuuñ
dīda-e-ahl-e-ishq  hai  nūr-e-nigāh  se  tahī
aa.e  vo  farsh-e-nāz  par  chhoḌ  ke  kafsh-e-pā  ki  yuuñ
maiñ  ne  kahā  kanār-e-nāz  chāhiye  is  ġhamīñ  se  pur
sun  ke  raqīb-e-zisht  ko  paas  biThā  liyā  ki  yuuñ
sho.ala-e-rashk-e-ġhair  se  jal  ke  uThānā  jaa.e  thā
duur  charāġh-e-bazm  ne  uTh  ke  batā  diyā  ki  yuuñ
ḳhūn-e-shahīd-e-ishq  vo  kahte  the  faash  kaise  ho
rañg-e-gul-ezār  se  surḳh  huī  havā  ki  yuuñ
us  kaf-e-pā  ke  bose  kī  kab  mujhe  raah  yaad  thī
badraqa-e-talab  huī  jur.at-e-sang-e-pā  ki  yuuñ
rizq  nahīñ  hai  bin  talāsh  kahtī  thī  tangī-e-ma.āsh
gardish-e-sañg-e-āsiyā  dene  lagī  sadā  ki  yuuñ
us  ke  ḳhirām-e-shauq  se  pis  ga.ī  ḳhalq  kis  ravish
miT  ga.ī  bād-e-tund  se  sūrat-e-naqsh-e-pā  ki  yuuñ
sa.ī-e-tarīq-e-shauq  se  fitne  ko  āgahī  nahīñ
us  kī  jilau  meñ  dauḌe  se  saaya  barhana-pā  ki  yuuñ
shab  ko  numū-e-rang  se  ḳhanda-e-gul  kā  zikr  thā
nashv-o-numā-e-husn  se  TukḌe  huī  qabā  ki  yuuñ
nargis-e-mahvishāñ  se  pūchh  gardish-e-āsmāñ  se  pūchh
surma  hue  vafā-sarisht  kyā  kaheñ  ai  ḳhudā  ki  yuuñ
sān-e-gulshan-e-iram  maiñ  ne  kahā  ki  haa.e  haa.e
dar  pe  us  anjuman  se  duur  qatl  mujhe  kiyā  ki  yuuñ
maiñ  ne  kahā  nasīm  se  chaTke  hai  ġhuncha  kis  tarah
kunj-e-dahān-e-tañg  se  bose  ne  dī  sadā  ki  yuuñ
reḳhta  rashk-e-fārsī  us  se  na  ho  sakā  bayāñ
mahfil-e-urs-e-'mīr'  meñ  sher  mire  sunā  ki  yuuñ