jazba-e-ishq  bhī  hai  garmī-e-bāzār  bhī  hai
husn-e-yūsuf  kā  magar  koī  ḳharīdār  bhī  hai
sho.ala-e-tūr  bhī  hai  jalva-gah-bār  bhī  hai
dekhnā  ye  hai  koī  tālib-e-dīdār  bhī  hai
dil  kā  saudā  mujhe  manzūr  hai  lekin  ai  dost
merā  ham-zauq  bhī  hai  mūnis-o-ġham-ḳhvār  bhī  hai
kabhī  badle  hue  tevar  kabhī  duzdīda  nazar
ek  hī  vaqt  meñ  iqrār  bhī  inkār  bhī  hai
pur-ziyā  bazm-e-masarrat  hai  ziyā-e-ġham  se
jis  jagah  phuul  mahaktā  hai  vahāñ  ḳhaar  bhī  hai
chashm-e-sāqī  kā  na  mai-ḳhvār  sahārā  DhūñDeñ
vo  suḳhan-sāz  bhī  hai  aur  jafā-kār  bhī  hai
merī  duniyā  meñ  vahī  shām-o-sahar  haiñ  ab  tak
zindagī  talḳh  bhī  hai  aur  girāñ-bār  bhī  hai
dil  hathelī  pe  liye  sar  ko  jhukā.e  rahnā
un  kā  manshā  bhī  hai  āshiq  ko  sazā-vār  bhī  hai
jab  ġham-e-dil  ko  masīhā  kī  zarūrat  hī  nahīñ
ab  maiñ  samjhā  huuñ  ye  ik  uqda-e-dushvār  bhī  hai
'sājid'-e-ḳhasta  ko  āġhosh-e-karam  meñ  le  le
terā  banda  bhī  hai  aur  terā  gunahgār  bhī  hai