Nasir Kazmi

rah-naward-e-bayaban-e-gham sabr kar sabr kar

Nasir Kazmi

Ambala, Haryana, India

1923-1972
rah-navard-e-bayābān-e-ġham sabr kar sabr kar
kārvāñ phir mileñge baham sabr kar sabr kar
be-nishāñ hai safar raat saarī paḌī hai magar
aa rahī hai sadā dam-ba-dam sabr kar sabr kar
terī fariyād gūñjegī dhartī se ākāsh tak
koī din aur sah le sitam sabr kar sabr kar
tere qadmoñ se jāgeñge ujḌe diloñ ke ḳhutan
pā-shikasta ġhazāl-e-haram sabr kar sabr kar
shahr ujḌe to kyā hai kushāda zamīn-e-ḳhudā
ik nayā ghar banā.eñge ham sabr kar sabr kar
ye mahallāt-e-shāhī tabāhī ke haiñ muntazir
girne vaale haiñ un ke alam sabr kar sabr kar
daf bajā.eñge barg o shajar saf-ba-saf har taraf
ḳhushk miTTī se phūTegā nam sabr kar sabr kar
lahlahā.eñgī phir khetiyāñ kārvāñ kārvāñ
khul ke barsegā abr-e-karam sabr kar sabr kar
kyuuñ paTaktā hai sar sañg se jī jalā Dhañg se
dil hī ban jā.egā ḳhud sanam sabr kar sabr kar
pahle khil jaa.e dil kā kañval phir likheñge ġhazal
koī dam ai sarīr-e-qalam sabr kar sabr kar
dard ke taar milne to de hoñT hilne to de
saarī bāteñ kareñge raqam sabr kar sabr kar
dekh 'nāsir' zamāne meñ koī kisī kā nahīñ
bhuul jā us ke qaul o qasam sabr kar sabr kar
Top Urdushayar.com