hamāre  sāmne  kuchh  zikr  ġhairoñ  kā  agar  hogā
bashar  haiñ  ham  bhī  sāhab  dekhiye  nāhaq  kā  shar  hogā
na  muḌ  kar  tū  ne  dekhā  aur  na  maiñ  taḌpā  na  ḳhanjar
na  dil  hovegā  terā  sā  na  merā  sā  jigar  hogā
maiñ  kuchh  majnūñ  nahīñ  huuñ  jo  ki  sahrā  ko  chalā  jā.ūñ
tumhāre  dar  se  sar  phoḌūñgā  saudā  bhī  agar  hogā
chaman  meñ  laa.ī  hogī  to  sabā-mashshātgī  kar  ke
jo  gul  se  aage  lipTā  hai  kisī  bulbul  kā  par  hogā
tarī  kā  bhī  vahī  mālik  hai  jo  mālik  hai  ḳhushkī  kā
madad-gār  apnā  har  mushkil  meñ  shāh-e-bahr-o-bar  hogā
tasavvur  zulf  kā  gar  chhoḌ  duuñ  mizhgāñ  kā  khaTkā  hai
jo  sar  ke  dard  se  fursat  milī  dard-e-jigar  hogā
tabībo  tum  abas  aa.e  maiñ  kushta  huuñ  firañgan  kā
mirī  tadbīr  karne  ko  muqarrar  doctor  hogā
kisī  ko  koste  kyuuñ  ho  duā  apne  liye  māñgo
tumhārā  fā.eda  kyā  hai  jo  dushman  kā  zarar  hogā
mazā  aa.egā  dīvānoñ  kī  bātoñ  meñ  parī-zādo
jo  'āġhā'  kā  kisī  din  dasht-e-majnūñ  meñ  guzar  hogā