kisī  kā  dard  ho  dil  be-qarār  apnā  hai
havā  kahīñ  kī  ho  siina  figār  apnā  hai
ho  koī  fasl  magar  zaḳhm  khul  hī  jaate  haiñ
sadā-bahār  dil-e-dāġh-dār  apnā  hai
balā  se  ham  na  piyeñ  mai-kada  to  garm  huā
ba-qadr-e-tishnagī  ranj-e-ḳhumār  apnā  hai
jo  shaad  phirte  the  kal  aaj  chhup  ke  rote  haiñ
hazār  shukr  ġham-e-pā.edār  apnā  hai
isī  liye  yahāñ  kuchh  log  ham  se  jalte  haiñ
ki  jī  jalāne  meñ  kyuuñ  iḳhtiyār  apnā  hai
na  tañg  kar  dil-e-mahzūñ  ko  ai  ġham-e-duniyā
ḳhudā.ī-bhar  meñ  yahī  ġham-gusār  apnā  hai
kahīñ  milā  to  kisī  din  manā  hī  leñge  use
vo  zūd-ranj  sahī  phir  bhī  yaar  apnā  hai
vo  koī  apne  sivā  ho  to  us  kā  shikva  karūñ
judā.ī  apnī  hai  aur  intizār  apnā  hai
na  DhūñDh  'nāsir'-e-āshufta-hāl  ko  ghar  meñ
vo  bū-e-gul  kī  tarah  be-qarār  apnā  hai