ye  shab  ye  ḳhayāl-o-ḳhvāb  tere
kyā  phuul  khile  haiñ  muñh-añdhere
sho.ale  meñ  hai  ek  rañg  terā
baaqī  haiñ  tamām  rañg  mere
āñkhoñ  meñ  chhupā.e  phir  rahā  huuñ
yādoñ  ke  bujhe  hue  savere
dete  haiñ  surāġh  fasl-e-gul  kā
shāḳhoñ  pe  jale  hue  basere
manzil  na  milī  to  qāfiloñ  ne
raste  meñ  jamā  liye  haiñ  Dere
jañgal  meñ  huī  hai  shaam  ham  ko
bastī  se  chale  the  muñh-añdhere
rūdād-e-safar  na  chheḌ  'nāsir'
phir  ashk  na  tham  sakeñge  mere