Nasir Kazmi

gham hai ya KHushi hai tu

Nasir Kazmi

Ambala, Haryana, India

1923-1972
ġham hai yā ḳhushī hai tū
merī zindagī hai tū
āfatoñ ke daur meñ
chain kī ghaḌī hai tū
merī raat kā charāġh
merī niiñd bhī hai tū
maiñ ḳhizāñ kī shaam huuñ
rut bahār kī hai tū
dostoñ ke darmiyāñ
vaj.h-e-dostī hai tū
merī saarī umr meñ
ek hī kamī hai tū
maiñ to vo nahīñ rahā
haañ magar vahī hai tū
'nāsir' is dayār meñ
kitnā ajnabī hai tū
Top Urdushayar.com