dil  meñ  tire  ai  nigār  kyā  hai
hotā  nahīñ  ham-kanār  kyā  hai
aayā  jo  dam  vo  hai  ġhanīmat
is  ziist  kā  e'tibār  kyā  hai
haiñ  seb  se  bhī  vo  chhātiyāñ  saḳht
aage  un  ke  anaar  kyā  hai
duniyā  ke  ye  sab  Dhakosle  haiñ
turbat  kaisī  mazār  kyā  hai
tā.ūs  se  chheḌ-chhāḌ  kaisī
haañ  ai  dil-e-dāġh-dār  kyā  hai
jo  jo  vo  rañj  deñ  uThāo
jab  dil  hī  diyā  to  aar  kyā  hai
maiñ  chāhtā  huuñ  use  na  chāhūñ
dil  par  mirā  iḳhtiyār  kyā  hai
mizhgāñ  kā  hai  mire  dil  meñ  khaTkā
ai  ḳhushbū-e-nok-e-ḳhār  kyā  hai
miTTī  mirī  ḳhaak  meñ  milā.ī
mujh  se  un  ko  ġhubār  kyā  hai
dauḌūñ  to  mujhe  sabā  na  paa.e
paidal  kaisā  savār  kyā  hai
bose  kī  talab  ki  vasl  kā  zikr
farmā.iye  nāgavār  kyā  hai
hai  kyā  'āġhā'  taḌap  rahā  hai
kyuuñ  kahte  ho  baar  baar  kyā  hai