jīte-jī  ke  āshnā  haiñ  phir  kisī  kā  kaun  hai
naam  ke  apne  huā  karte  haiñ  apnā  kaun  hai
jān-e-jāñ  tere  sivā  rashk-e-masīhā  kaun  hai
maar  kar  Thokar  jilā  de  mujh  ko  aisā  kaun  hai
ye  siyah  ḳhema  hai  kis  kā  is  meñ  lailā  kaun  hai
chamber-e-aflāk  ke  parde  meñ  baiThā  kaun  hai
ham  na  kahte  the  ki  saudā  zulf  kā  achchhā  nahīñ
dekhiye  to  ab  sar-e-bāzār  rusvā  kaun  hai
vo  to  hai  be-nūr  aur  ye  nuur  se  ma.amūr  hai
chashm  ko  nargis  kahegā  aisā  andhā  kaun  hai
dam-ba-dam  har  baat  meñ  karte  ho  ThanDī  garmiyāñ
aap  kī  ukhḌī  huī  bātoñ  pe  jamtā  kaun  hai
vādi-e-vahshat  meñ  bhī  ham-rāh  haiñ  āh-o-fuġhāñ
apne  hamdam  saath  haiñ  ai  jaan  tanhā  kaun  hai
ḳhair  hai  ai  mehrbāñ  kis  ne  unheñ  sīdhā  kyā
aap  kyuuñ  bal  karte  haiñ  zulfoñ  se  uljhā  kaun  hai
duḳhtar-e-raz  sach  batā  terī  nazar  kis  par  paḌī
TaTTiyoñ  kī  aaḌ  meñ  se  kis  ko  taakā  kaun  hai
aaj  maqtal  meñ  khaḌe  kahte  haiñ  vo  ḳhanjar-ba-kaf
bol  uThe  chāhne  vaalā  hamārā  kaun  hai
chaar  din  jo  kuchh  tamāshā  dekhnā  hai  dekh  le
sair  ko  phir  gulshan-e-duniyā  meñ  aatā  kaun  hai
bāñdh  kar  teġh  o  kafan  jaate  haiñ  us  qātil  ke  paas
ham  bhī  dekheñ  rokne  vaalā  hamārā  kaun  hai
kyā  tajāhul  hai  ki  vo  farmāte  haiñ  aġhyār  se
maiñ  nahīñ  pahchāntā  mutlaq  ki  'āġhā'  kaun  hai