Nasir Kazmi

tu jab mere ghar aaya tha

Nasir Kazmi

Ambala, Haryana, India

1923-1972
tū jab mere ghar aayā thā
maiñ ik sapnā dekh rahā thā
tere bāloñ kī ḳhushbū se
saarā āñgan mahak rahā thā
chāñd kī dhīmī dhīmī zau meñ
sāñvlā mukhḌā lau detā thā
terī niind bhī uḌī uḌī thī
maiñ bhī kuchh kuchh jaag rahā thā
mere haath bhī sulag rahe the
terā māthā bhī jaltā thā
do rūhoñ kā pyāsā bādal
garaj garaj kar baras rahā thā
do yādoñ kā chaḌhtā dariyā
ek hī sāgar meñ girtā thā
dil kī kahānī kahte kahte
raat kā āñchal bhiig chalā thā
raat ga.e soyā thā lekin
tujh se pahle jaag uThā thā
Top Urdushayar.com