namāz  kaisī  kahāñ  kā  roza  abhī  maiñ  shaġhl-e-sharāb  meñ  huuñ
ḳhudā  kī  yaad  aa.e  kis  tarah  se  butoñ  ke  qahr-o-itāb  meñ  huuñ
sharāb  kā  shaġhl  ho  rahā  hai  baġhal  meñ  paatā  huuñ  maiñ  kisī  ko
maiñ  jāgtā  huuñ  ki  so  rahā  huuñ  ḳhayāl  meñ  huuñ  ki  ḳhvāb  meñ  huuñ
na  chheḌ  is  vaqt  mujh  ko  zāhid  nahīñ  ye  mauqa.a  hai  guftugū  kā
savār  jaatā  hai  vo  sharābī  maiñ  hāzir  us  kī  rikāb  meñ  huuñ
kabhī  sharābī  kabhī  namāzī  kabhī  huuñ  maiñ  rind-gāh  zāhid
ḳhudā  kā  Dar  hai  butoñ  kā  khaTkā  ajab  tarah  ke  azaab  meñ  huuñ
qayāmat  aane  kā  ḳhauf  kaisā  taraddud-o-fikr  kyuuñ  hai  'āġhā'
hisāb  kyā  koī  mujh  se  legā  batā  to  maiñ  kis  hisāb  meñ  huuñ