ḳhud  mazedār  tabī.at  hai  to  sāmāñ  kaisā
zaḳhm-e-dil  aap  haiñ  shorish  pe  namak-dāñ  kaisā
haath  vahshat  meñ  na  poñchhe  to  garebāñ  kaisā
ḳhār-e-sahrā  se  na  uljhe  to  vo  dāmāñ  kaisā
kūcha-e-yār  ko  da.avā  hai  ki  jannat  maiñ  huuñ
ḳhuld  kahte  haiñ  kise  rauza-e-rizvāñ  kaisā
usī  ma.abūd  kā  hai  dair-o-haram  meñ  jalva
bahs  kis  baat  kī  hai  gabr  o  musalmāñ  kaisā
va.ada-e-bāda-e-at.har  kā  bharosa  kab  tak
chal  ke  bhaTTī  pe  piyeñ  jur.a-e-irfāñ  kaisā
ham  hue  'qais'  hue  'vāmiq'  o  'farhād'  hue
zulf-e-pur-ḳham  ne  kiyā  sab  ko  pareshāñ  kaisā
duur  ke  Dhol  haiñ  yūsuf  kī  kahānī  sāhab
kis  ko  ma.alūm  hai  hogā  mah-e-kan.āñ  kaisā
tere  qurbān  maiñ  itnā  to  batā  de  qātil
merī  gardan  pe  chalā  ḳhanjar-e-burrāñ  kaisā
dil  ke  ā.īne  meñ  tasvīr-e-sanam  rakhtā  hai
nahīñ  ma.alūm  ki  'āġhā'  hai  musalmāñ  kaisā