nasīb-e-ishq  dil-e-be-qarār  bhī  to  nahīñ
bahut  dinoñ  se  tirā  intizār  bhī  to  nahīñ
talāfī-e-sitam-e-rozgār  kaun  kare
tū  ham-suḳhan  bhī  nahīñ  rāz-dār  bhī  to  nahīñ
zamāna  pursish-e-ġham  bhī  kare  to  kyā  hāsil
ki  terā  ġham  ġham-e-lail-o-nihār  bhī  to  nahīñ
tirī  nigāh-e-taġhāful  ko  kaun  samjhā.e
ki  apne  dil  pe  mujhe  iḳhtiyār  bhī  to  nahīñ
tū  hī  batā  ki  tirī  ḳhāmushī  ko  kyā  samjhūñ
tirī  nigāh  se  kuchh  āshkār  bhī  to  nahīñ
vafā  nahīñ  na  sahī  rasm-o-rāh  kyā  kam  hai
tirī  nazar  kā  magar  e'tibār  bhī  to  nahīñ
agarche  dil  tirī  manzil  na  ban  sakā  ai  dost
magar  charāġh-e-sar-e-rahguzār  bhī  to  nahīñ
bahut  fasurda  hai  dil  kaun  is  ko  bahlā.e
udaas  bhī  to  nahīñ  be-qarār  bhī  to  nahīñ
tū  hī  batā  tire  be-ḳhānumāñ  kidhar  jaa.eñ
ki  raah  meñ  shajar  sāya-dār  bhī  to  nahīñ
falak  ne  pheñk  diyā  barg-e-gul  kī  chhāñv  se  duur
vahāñ  paḌe  haiñ  jahāñ  ḳhār-zār  bhī  to  nahīñ
jo  zindagī  hai  to  bas  tere  dard-mandoñ  kī
ye  jabr  bhī  to  nahīñ  iḳhtiyār  bhī  to  nahīñ
vafā  zarīya-e-iz.hār-e-ġham  sahī  'nāsir'
ye  kārobār  koī  kārobār  bhī  to  nahīñ