shiddat-e-zāt  ne  ye  haal  banāyā  apnā
jism-e-majnūñ  meñ  huā  tañg  shalokā  apnā
yaar  bantā  nahīñ  vo  nuur  kā  putlā  apnā
ḳhaak  meñ  mil  gayā  tasḳhīr  kā  da.avā  apnā
mai-kashoñ  meñ  na  koī  mujh  sā  namāzī  hogā
dar-e-mai-ḳhāna  pe  bichhtā  hai  musallā  apnā
vasl  kī  raat  bahut  tuul  huā  āḳhir-kār
muḳhtasar  ye  hai  ki  faisal  huā  qissa  apnā
gul  khilā  kar  abhī  bulbul  ko  jalā.ūñ  kyā  kyā
vo  ināyat  kareñ  gar  por  kā  chhallā  apnā
rabbī-arenī  kī  sadā  ho  bhī  to  but  bol  uTheñ
aap  dikhlā.eñ  agar  dair  meñ  jalva  apnā
ā.īna-ḳhāna  meñ  chal  baiThiye  do-chār  ghaḌī
dekhnā  hove  jo  manzūr  tamāshā  apnā
jīte-jī  ḳhvesh-o-aqārib  the  pas-e-marg  afsos
ḳhaak  meñ  daab  diyā  koī  na  samjhā  apnā
kisī  sayyād  kī  paḌ  jaa.e  na  chiḌiyā  pe  nazar
aap  sarkā.eñ  na  mahram  se  dupaTTā  apnā
aap  sau  baar  ukhaḌ  jaa.eñ  nahīñ  kuchh  parvā
jam  gayā  ek  parī-zād  se  naqsha  apnā
dām-e-mahram  meñ  phañsāyā  hai  ḳhudā  ḳhair  kare
āshiyāna  na  banā  baiThe  ye  chiḌiyā  apnā
garm-ḳhvābī  ne  tirī  zab.h  kiyā  ai  qātil
ek  dam  bhī  na  kalejā  huā  ThanDā  apnā
riñd-mashrab  haiñ  kisī  se  hameñ  kuchh  kaam  nahīñ
dair  apnā  hai  na  ka.aba  na  kalīsā  apnā
hai  vahī  sar  vahī  saudā  vahī  josh-e-vahshat
vasl  tabdīl  huī  rañg  na  badlā  apnā
un  kī  zulfoñ  ko  ye  da.avā  hai  ki  ham  kaale  haiñ
ham  ne  bachte  nahīñ  dekhā  kabhī  maarā  apnā
ġhair  se  rakhiye  na  imdād  kī  ummīd  'āġhā'
kaam  aatā  hai  mirī  jaan  bharosā  apnā