avvalīñ  chāñd  ne  kyā  baat  sujhā.ī  mujh  ko
yaad  aa.ī  tirī  añgusht-e-hinā.ī  mujh  ko
sar-e-aivān-e-tarab  naġhma-sarā  thā  koī
raat  bhar  us  ne  tirī  yaad  dilā.ī  mujh  ko
dekhte  dekhte  tāroñ  kā  safar  ḳhatm  huā
so  gayā  chāñd  magar  niind  na  aa.ī  mujh  ko
inhī  āñkhoñ  ne  dikhā.e  ka.ī  bharpūr  jamāl
inhīñ  āñkhoñ  ne  shab-e-hijr  dikhā.ī  mujh  ko
saa.e  kī  tarah  mire  saath  rahe  ranj  o  alam
gardish-e-vaqt  kahīñ  raas  na  aa.ī  mujh  ko
dhuup  idhar  Dhaltī  thī  dil  Dūbtā  jaatā  thā  idhar
aaj  tak  yaad  hai  vo  shām-e-judā.ī  mujh  ko
shahr-e-lahore  tirī  raunaqeñ  daa.im  ābād
terī  galiyoñ  kī  havā  khīñch  ke  laa.ī  mujh  ko