hazār  jaan  se  sāhab  nisār  ham  bhī  haiñ
tumhārī  tīr-e-nigah  ke  shikār  ham  bhī  haiñ
azal  se  dāḳhil-e-fard-e-shumār  ham  bhī  haiñ
tumhāre  chāhne  vāloñ  meñ  yaar  ham  bhī  haiñ
hamesha  ham  se  kudūrat  rahī  hasīnoñ  ko
na  dil  se  nikle  kabhī  vo  ġhubār  ham  bhī  haiñ
musāfiroñ  kī  tavāzo  se  naam  hotā  hai
karam  karo  ki  ġharīb-ud-dayār  ham  bhī  haiñ
sharāb  piite  haiñ  to  jāgte  haiñ  saarī  raat
mudām  ābid-e-shab-zinda-dār  ham  bhī  haiñ
hazār  baar  hasīnoñ  se  ham  ne  nok  kī  lī
guloñ  kī  aañkh  meñ  khaTke  vo  ḳhaar  ham  bhī  haiñ
ajiib  rutba  ināyat  kiyā  hai  qambar  ko
ġhulām  yā  shah-e-duldul-savār  ham  bhī  haiñ
junūñ  ke  haath  se  hai  in  dinoñ  garebāñ  tañg
qabā  pukārtī  hai  taar  taar  ham  bhī  haiñ
baḌe  hī  chāliye  haiñ  chaal  chalte  haiñ  har  dam
vo  chūkte  nahīñ  par  hoshiyār  ham  bhī  haiñ
raqīb  ko  bhī  hai  baar  un  kī  bazm  meñ  'āġhā'
sharīk-e-sohbat-e-bos-o-kanār  ham  bhī  haiñ