jalva-sāmāñ  hai  rañg-o-bū  ham  se
is  chaman  kī  hai  aabrū  ham  se
dars  lete  haiñ  ḳhush-ḳhirāmī  kā
mauj-e-dariyā-o-āb-jū  ham  se
har  sahar  bārgāh-e-shabnam  meñ
phuul  milte  haiñ  bā-vazū  ham  se
ham  se  raushan  hai  kār-gāh-e-suḳhan
nafas-e-gul  hai  mushkbū  ham  se
shab  kī  tanhā.iyoñ  meñ  pichhle  pahar
chāñd  kartā  hai  guftugū  ham  se
shahr  meñ  ab  hamāre  charche  haiñ
jagmagāte  haiñ  kāḳh-o-kū  ham  se