Aagha Akbarabadi

maddah hun main dil se mohammad ki aal ka

Aagha Akbarabadi

maddāh huuñ maiñ dil se mohammad kī aal kā
mushtāq huuñ vasī-e-nabī ke jamāl kā
ḳhvāhāñ guhar kā huuñ na maiñ tālib huuñ laal kā
mushtāq huuñ tumhāre dahan ke ugaal kā
dekho to ek jā pe Thahartī nahīñ nazar
lapkā paḌā hai aañkh ko kyā dekh-bhāl kā
kyā un se faiz pahuñche jo ḳhud tīra-baḳht haiñ
khilte na dekhā ham ne kabhī phuul Dhaal kā
ham haiñ faqīr daulat-e-duniyā se kaam kyā
behtar hai jām-e-jam se piyāla sifāl kā
daana dikhā ke daam meñ anqā ko lā.ūñgā
mazmūn likh rahā huuñ tire ḳhat-o-ḳhāl kā
sau jaan se fidā huuñ mohammad ke naam par
jis ne batāyā farq harām o halāl kā
vo aañkh bhī uThā ke hameñ dekhte nahīñ
rutba pahuñch gayā hai ye rañj-o-malāl kā
kis zindagī ke vāste daulat kī aarzū
dekho natīja ġhaur se qārūñ ke maal kā
iqbāl gar nahīñ hai tū inkār kījiye
kuchh dījiye javāb hamāre savāl kā
muTThī ko khol kar yad-e-baizā dikhāte haiñ
nāḳhun pe un ke hotā hai dhokā hilāl kā
shā.er ġhazab ke hote haiñ hargiz na chūkte
mauqa.a nahīñ dahan meñ tire qīl-o-qāl kā
ai rashk-e-mehr vasl meñ ġhussa hai kis liye
ye vaqt merī jaan nahīñ hai jalāl kā
tārīkī-e-lahad se kuchh 'āġhā' na ḳhauf kar
dāman hai tere haath meñ zahrā ke laal kā
Top Urdushayar.com