maddāh  huuñ  maiñ  dil  se  mohammad  kī  aal  kā
mushtāq  huuñ  vasī-e-nabī  ke  jamāl  kā
ḳhvāhāñ  guhar  kā  huuñ  na  maiñ  tālib  huuñ  laal  kā
mushtāq  huuñ  tumhāre  dahan  ke  ugaal  kā
dekho  to  ek  jā  pe  Thahartī  nahīñ  nazar
lapkā  paḌā  hai  aañkh  ko  kyā  dekh-bhāl  kā
kyā  un  se  faiz  pahuñche  jo  ḳhud  tīra-baḳht  haiñ
khilte  na  dekhā  ham  ne  kabhī  phuul  Dhaal  kā
ham  haiñ  faqīr  daulat-e-duniyā  se  kaam  kyā
behtar  hai  jām-e-jam  se  piyāla  sifāl  kā
daana  dikhā  ke  daam  meñ  anqā  ko  lā.ūñgā
mazmūn  likh  rahā  huuñ  tire  ḳhat-o-ḳhāl  kā
sau  jaan  se  fidā  huuñ  mohammad  ke  naam  par
jis  ne  batāyā  farq  harām  o  halāl  kā
vo  aañkh  bhī  uThā  ke  hameñ  dekhte  nahīñ
rutba  pahuñch  gayā  hai  ye  rañj-o-malāl  kā
kis  zindagī  ke  vāste  daulat  kī  aarzū
dekho  natīja  ġhaur  se  qārūñ  ke  maal  kā
iqbāl  gar  nahīñ  hai  tū  inkār  kījiye
kuchh  dījiye  javāb  hamāre  savāl  kā
muTThī  ko  khol  kar  yad-e-baizā  dikhāte  haiñ
nāḳhun  pe  un  ke  hotā  hai  dhokā  hilāl  kā
shā.er  ġhazab  ke  hote  haiñ  hargiz  na  chūkte
mauqa.a  nahīñ  dahan  meñ  tire  qīl-o-qāl  kā
ai  rashk-e-mehr  vasl  meñ  ġhussa  hai  kis  liye
ye  vaqt  merī  jaan  nahīñ  hai  jalāl  kā
tārīkī-e-lahad  se  kuchh  'āġhā'  na  ḳhauf  kar
dāman  hai  tere  haath  meñ  zahrā  ke  laal  kā