but-e-ġhuncha-dahan  pe  nisār  huuñ  maiñ  nahīñ  jhuuT  kuchh  is  meñ  ḳhudā  kī  qasam
mirā  tā.ir-e-dil  isī  qaid  meñ  hai  mujhe  zulf  ke  dām-e-balā  kī  qasam
nahīñ  bhātā  mujhe  koī  rashk-e-parī  koī  laakh  hasīñ  ho  balā  se  mirī
mirā  dil  tirā  āshiq-e-shefta  hai  mujhe  tere  hī  nāz-o-adā  kī  qasam
mire  dil  ko  zarā  nahīñ  tāb-o-ta.ab  ki  uThā.ūñ  tumhārā  ye  qahr-o-ġhazab
mire  qatl  meñ  der  na  chāhiye  ab  tumheñ  apne  hī  jaur-o-jafā  kī  qasam
na  to  huur  hī  ko  ye  milā  hai  namak  na  parī  hī  ke  ruḳh  meñ  hai  aisī  chamak
tire  sāmne  phīke  haiñ  shams-o-qamar  mujhe  tire  hī  ruḳh  kī  ziyā  kī  qasam
mujhe  itr-e-hinā  kī  nahīñ  hai  havā  mujhe  phūloñ  se  hotā  hai  dāġh-e-sivā
kabhī  nik.hat-e-zulf  suñghā  de  sabā  tujhe  nāfa-e-mushk-e-ḳhatā  kī  qasam
mire  ba.ad  sahegā  na  koī  bhī  ġham  na  uThegā  kisī  se  ye  rañj-o-alam
karo  tark  tum  aaj  se  zulm-o-sitam  tumheñ  apnī  hī  mehr-o-vafā  kī  qasam
kabhī  dard  se  rotā  ho  'āġhā'  agar  to  hañsī  se  ye  kahtā  hai  vo  gul-e-tar
mirā  maan  kahā  are  naala  na  kar  tujhe  bulbul-e-naġhma-sarā  kī  qasam