sikka-e-dāġh-e-junūñ  milte  jo  daulat  māñgtā
tañg  kartī  muflisī  gar  maiñ  farāġhat  māñgtā
rañj  se  fursat  na  miltī  maiñ  jo  rāhat  māñgtā
bojh  hotā  sar  pe  gar  qārūñ  kī  daulat  māñgtā
gar  mujhe  hotī  ḳhabar  merā  masīhā  aa.egā
ai  ajal  ik  dam  kī  maiñ  bhī  tujh  se  mohlat  māñgtā
ḳhizr  kī  sī  zindagī  hotī  jo  mujh  nākām  kī
maiñ  duā-e-vasl-e-jānāñ  tā-qayāmat  māñgtā
ashk  ke  dariyā  ne  rakh  lī  aabrū  ai  chashm-e-tar
marte  dam  do  gaz  zamīn  kyā  bahr-e-turbat  māñgtā
kis  kī  aamad  aamad  apne  kalba-e-ahzāñ  meñ  hai
peshvā.ī  ko  hai  dil  pahlū  se  ruḳhsat  māñgtā
dar-guzartā  jaan  tak  kartā  zamīñ  us  se  aziiz
mujh  se  darbān-e-dar-e-jānāñ  jo  rishvat  māñgtā
naza.a  tak  dīdār  kī  hasrat  rahī  mushtāq  ko
ai  masīhā  mar  gayā  bīmār  sharbat  māñgtā
dar-ba-dar  phirne  ne  merī  qadr  khoī  ai  falak
un  ke  dil  meñ  hai  jagah  miltī  jo  ḳhalvat  māñgtā
minnateñ  kar  ke  chhuḌātā  bulbuloñ  ko  daam  se
maiñ  zar-e-gul  detā  agar  sayyād  qīmat  māñgtā
ādamiyyat  se  haiñ  duur  in  zāhidoñ  ke  qaul-o-fe.al
haqq-e-maurūsī  thā  merā  kyuuñ  maiñ  jannat  māñgtā
jaan  dī  nāhaq  ko  makkāra  ke  dam  meñ  aan  kar
kohkan  shīrīñ  se  mehnat  kī  jo  ujrat  māñgtā
qasd  kartā  gar  bulandī  kā  to  pastī  dekhtā
kund  ho  jaatī  tabī.at  gar  maiñ  jaudat  māñgtā
zulf  ke  janjāl  meñ  phañsne  kī  ḳhud  kartā  duā
maiñ  siḌī  thā  jo  ḳhudā  se  apnī  shāmat  māñgtā
qaa.el  apnī  guftugū  se  ḳhaas  kā  hotā  kalīm
'sa.adī'-e-shīrāz  bhī  mujh  se  fasāhat  māñgtā
yaar  hotā  baaġh  hotā  aise  gar  hote  nasīb
mai-kashī  kī  mohtasib  se  maiñ  ijāzat  māñgtā
dasht-e-vahshat-ḳhez  meñ  uryāñ  hai  'āġhā'  aap  hī
qāsid-e-jānāñ  ko  kyā  detā  jo  ḳhil.at  māñgtā