Sudesh Kumar Mehr

koi ghazal ho ye lahja nahin badalte hum

Sudesh Kumar Mehr

koī ġhazal ho ye lahja nahīñ badalte ham
ki sach ho kitnā bhī kaḌvā nahīñ badalte ham
kisī galī se ye rishta nahīñ badalte ham
tumhāre ba.ad bhī rasta nahīñ badalte ham
khulī kitāb ke jaisī hai zindagī apnī
kisī ke sāmne chehra nahīñ badalte ham
lahūluhān hoñ nazreñ yā ruuh ho zaḳhmī
hamārī āñkhoñ kā sapnā nahīñ badalte ham
tamām umr hī ab kyuuñ na ḳhatm ho jaa.e
tumhāre pyaar kā qissa nahīñ badalte ham
jo jaisā hai use vaisā hī ham ne chāhā hai
mohabbatoñ meñ ye sikka nahīñ badalte ham
vafā kī raah ke pakke haiñ ham musāfir bhī
mileñ na manzileñ rasta nahīñ badalte ham
kisī kner ke phūloñ se surḳh hoñTh us ke
guloñ se aaj bhī rishta nahīñ badalte ham
tamām shakleñ hameñ ek jaisī lagtī haiñ
kisī ke vāste chashma nahīñ badalte ham
kaTā-phaTā hī sahī hai ye pairahan sach kā
na.e libās se kapḌā nahīñ badalte ham
ye gul-mohar kī haiñ shāḳheñ kisī ki yaad liye
kisī kī yaad kā chehra nahīñ badalte ham
kabhī yahīñ pe hī aa kar vo baiTh jaatī thī
isī liye to ye kamra nahīñ badalte ham
Top Urdushayar.com