sarv-qad  lāla-ruḳh  o  ġhuncha-dahan  yaad  aayā
phir  bahār  aa.ī  mujhe  lutf-e-chaman  yaad  aayā
go  ki  thī  saltanat-e-misr  magar  āḳhir-e-kār
is  hukūmat  pe  bhī  yūsuf  ko  vatan  yaad  aayā
rag-e-gul  par  hai  kabhī  aur  kabhī  ġhunche  pe  nigāh
baaġh  meñ  kis  kī  kamar  kis  kā  dahan  yaad  aayā
safar-e-mulk-e-adam  kī  huī  aisī  ujlat
zād-e-rah  kuchh  na  ba-juz  gor-o-kafan  yaad  aayā
sohbat-e-lāla-ruḳhāñ  ahd-e-shabāb-o-shab-e-vasl
mai-e-kohna  jo  milī  dāġh-e-kuhan  yaad  aayā
jab  se  aayā  hai  nazar  ye  tirā  husn-e-be-dāġh
kabk  ko  maah  na  bulbul  ko  chaman  yaad  aayā
tere  saudā.ī  ko  phir  josh  huā  vahshat  kā
qaidī-e-zulf  ko  phir  tauq-o-rasan  yaad  aayā
paan  khā  kar  jo  ugaal  aap  ne  thūkā  sāhab
jauharī  mahv  hue  la.al-e-yaman  yaad  aayā
ba.ad  muddat  ke  talab  aap  ne  bande  ko  kiyā
shukr-sad-shukr  maiñ  ai  mushfiq-e-man  yaad  aayā
fasl-e-gul  aate  hī  'āġhā'  ne  bhī  vahshat  kī  lī
kaisī  ye  chaal  chalā  kis  kā  chalan  yaad  aayā