jā  laḌī  yaar  se  hamārī  aañkh
dekho  kar  baiThī  faujdārī  aañkh
shoḳhiyāñ  bhuul  jaa.e  āhū-e-chīñ
dekh  paa.e  agar  tumhārī  aañkh
laakh  inkār  mai-kashī  se  karo
kahīñ  chhuptī  bhī  hai  ḳhumārī  aañkh
hovegā  rañj  yā  ḳhushī  hogī
kyuuñ  phaḌakne  lagī  hamārī  aañkh
jānib-e-dar  nigāh-e-hasrat  hai
kis  kī  kartī  hai  intizārī  aañkh
kar  ke  iqrār  ho  gayā  munkir
sāmne  aa  ke  kis  ne  maarī  aañkh
murġh-e-dil  par  nigāh  hai  un  kī
aisī  dekhī  nahīñ  shikārī  aañkh
hai  sitam  nok-jhoñk  chitvan  meñ
laḌ  rahī  hai  chhurī  kaTārī  aañkh
dil  jigar  donoñ  ho  ga.e  majrūh
ban  ga.ī  hai  chhurī  kaTārī  aañkh
koī  dam  meñ  ubhārte  haiñ  use
us  ne  dekhā  ki  ham  ne  maarī  aañkh
'āġhā'  sāhab  tumhāre  dilbar  kī
kyā  rasīlī  hai  kyā  hai  pyārī  aañkh