chāhat  ġhamze  jatā  rahī  hai
vahshat  sahrā  dikhā  rahī  hai
ġhunchoñ  kā  jigar  hilā  rahī  hai
bulbul  kyā  gul  khilā  rahī  hai
yūsuf  kā  patā  lagā  rahī  hai
ḳhushbū  kan.āñ  meñ  aa  rahī  hai
shīrīñ  kyā  rañg  lā  rahī  hai
āshiq  kā  lahū  bahā  rahī  hai
kis  shoḳh  ko  dījiye  dil-e-zār
kis  meñ  sāhab  vafā  rahī  hai
āvāza-e-faiz  hai  jahāñ  meñ
jis  kī  shohrat  sadā  rahī  hai
Daa.in  hai  parī-vashoñ  kī  furqat
dil  khā  ke  kaleja  khā  rahī  hai
jaañ  nazar  huī  parī-ruḳhoñ  kī
miTTī  ko  havā  uḌā  rahī  hai
chāhat  kī  kashish  ne  lo  Dubo  dī
yūsuf  ko  kuñ.eñ  jhukā  rahī  hai
dil  meñ  jo  base  hue  haiñ  gul-rū
surḳhī  ā.ankhoñ  meñ  chhā  rahī  hai
gahtā  huuñ  jabīñ  ko  pā-e-but  se
taqdīr  likhā  miTā  rahī  hai
hañste  hue  dekh  kar  guloñ  ko
shabnam  aañsū  bahā  rahī  hai
andher  kā  aaj  sāmnā  hai
surma  vo  parī  lagā  rahī  hai
kyuuñ  jaan  nahīñ  nikaltī  'āġhā'
kaise  sadme  uThā  rahī  hai