nigāhoñ  meñ  iqrār  saare  hue  haiñ
ham  un  ke  hue  vo  hamāre  hue  haiñ
jin  ā.ankhoñ  meñ  aañsū  chakāre  hue  haiñ
ham  un  kī  nigāhoñ  ke  maare  hue  haiñ
na  ḳhaTkeñ  kaho  kis  tarah  tīr-e-mizhgāñ
jigar  par  hamāre  utāre  hue  haiñ
jhaḌe  jo  tirī  kafsh-e-zarrīñ  ke  zarre
falak  par  vo  jā  kar  sayyāre  hue  haiñ
abas  jaan  detī  hai  bulbul  guloñ  par
ye  us  ruḳh  ke  sadqe  utāre  hue  haiñ
kis  andāz  se  band-e-mahram  kase  haiñ
ki  joban  ko  un  ke  ubhāre  hue  haiñ
yaqīñ  hai  balā  ho  koī  aaj  nāzil
vo  bāloñ  ko  apne  sañvāre  hue  haiñ
ḳhabar-dār  hāthoñ  se  jaane  na  paa.eñ
ye  duzd-e-hinā  maal  maare  hue  haiñ
kahe  detī  haiñ  saaf  āñkheñ  tumhārī
kisī  ġhair  se  kuchh  ishāre  hue  haiñ
maiñ  mañjdhār  meñ  Dūbtā  huuñ  ilāhī
vo  dil  le  ke  merā  kināre  hue  haiñ
hamesha  jo  bharte  the  dam  dostī  kā
vahī  dushman-e-jāñ  hamāre  hue  haiñ
nazar  kar  duā  par  ḳhudāvand-e-ālam
ki  ham  haath  apne  pasāre  hue  haiñ
bhalā  ġhair  kī  is  meñ  hai  kyā  shikāyat
vahī  dushman-e-jāñ  hamāre  hue  haiñ
unheñ  ham  ne  nahlā  diyā  de  ke  chhīñTeñ
ajab  lutf  dariyā  kināre  hue  haiñ
ḳhabar  āmad-e-gul  kī  shāyad  hai  'āġhā'
chaman  saare  jhāḌe  bahāre  hue  haiñ