kyā  banā.e  sāne-e-qudrat  ne  pyāre  haath  paañv
nuur  ke  sāñche  meñ  Dhāle  haiñ  tumhāre  haath  paañv
zo.af-e-pīrī  chhā  gayā  zor-e-javānī  chal  basā
ab  chaleñ  batlā.īye  kis  ke  sahāre  haath  paañv
machhliyāñ  baazū  pe  ubhrīñ  sāq-e-pā  sham.eñ  banīñ
ḳhuub  sāhab  ne  nikāle  ab  to  baare  haath  paañv
fauq  hiire  se  nahīñ  hai  merī  jaañ  yāqūt  ko
kyuuñ  rañge  haiñ  aap  ne  mehñdī  se  saare  haath  paañv
mānī-o-bahzād  ne  mulk-e-adam  kī  raah  lī
vo  kamar  mutlaq  na  paa.ī  laakh  maare  haath  paañv
ham  na  kahte  the  ki  har  dam  shoḳhiyāñ  achchhī  nahīñ
āḳhirash  mehñdī  ne  bāñdhe  lo  tumhāre  haath  paañv
hāthā-pā.ī  meñ  bhī  ham  chūke  na  apne  kaam  se
vasl  kī  shab  yaar  ne  kyā  kyā  na  maare  haath  paañv
hai  za.īfī  meñ  bhī  ham  ko  naujavānī  kā  ḳhayāl
dil  nahīñ  haarā  hai  ab  tak  go  ki  haare  haath  paañv
ġhair  kī  dhamkī  se  ham  Dar  jaa.eñ  ye  mumkin  nahīñ
aise  buude  bhī  nahīñ  haiñ  kuchh  hamāre  haath  paañv
ma.adan-e-yāqūt  ko  dariyā  banāyā  aap  ne
mehñdī  mal  kar  dho.e  jab  dariyā  kināre  haath  paañv
is  buḌhāpe  meñ  bhī  'āġhā'  so  javāñ  meñ  ek  hai
go  za.īfī  aa  ga.ī  par  haiñ  karāre  haath  paañv