muddat  ke  ba.ad  is  ne  likhā  mere  naam  ḳhat
merī  shikāyatoñ  se  bharā  hai  tamām  ḳhat
ghabrā  na  is  qadar  dil-e-betāb  sabr  kar
aatā  hai  koī  roz  meñ  ab  sub.h-o-shām  ḳhat
likkhā  huā  hai  ḳhaas  tumhāre  hī  haath  kā
pahchāntā  hai  ḳhuub  tumhārā  ġhulām  ḳhat
tahrīr  un  kī  siina  pe  rakh  dījiyo  mire
badle  javāb-e-nāma  ke  aa.egā  kaam  ḳhat
likkhā  hai  ab  na  likkheñge  ham  koī  ḳhat  tujhe
ḳhat  aayā  merī  maut  kā  laayā  payām  ḳhat
zaa.e.a  na  jā.egī  tirī  mehnat  kisī  tarah
qāsid  ajūra  detā  huuñ  chuTkī  meñ  thaam  ḳhat
āshiq-navāziyāñ  haiñ  tabī.at  meñ  yaar  kī
likkhā  hai  har  mahīne  meñ  bhejo  mudām  ḳhat
tahrīr  kar  ke  saikaḌoñ  va.ade  mukar  ga.e
dikhlā.ūñgā  huzūr  ko  roz-e-qayām  ḳhat
ḳhat  likh  ke  aaj  Daak  pe  pahuñcheñge  yaar  ko
pahuñchā.egā  hamārā  payām-o-salām  ḳhat
'āġhā'  nisār  hojiye  in.aam  dījiye
laayā  hai  un  kā  qāsid-e-sarsar-ḳhirām  ḳhat