Kafeel Aazar Amrohvi

tanhai ki gali mein hawaon ka shor tha

Kafeel Aazar Amrohvi

Amroha, Uttar pradesh, India

1940
tanhā.ī kī galī meñ havāoñ kā shor thā
āñkhoñ meñ so rahā thā añdherā thakā huā
siine meñ jaise tiir sā paivast ho gayā
thā kitnā dil-ḳharāsh udāsī kā qahqaha
yuuñ bhī huā ki shahr kī saḌkoñ pe bār-hā
har shaḳhs se maiñ apnā pata pūchhtā phirā
barsoñ se chal rahā hai koī mere saath saath
hai kaun shaḳhs us se maiñ ik baar pūchhtā
dil meñ utar ke bujh ga.ī yādoñ kī chāñdnī
āñkhoñ meñ intizār kā sūraj pighal gayā
chhoḌī hai un kī chaah to ab lag rahā hai yuuñ
jaise maiñ itne roz añdheroñ meñ qaid thā
maiñ ne zarā sī baat kahī thī mazāq meñ
tum ne zarā sī baat ko itnā baḌhā liyā
kamre meñ phailtā rahā cigarette kā dhuāñ
maiñ band khiḌkiyoñ kī taraf dekhtā rahā
'āzar' ye kis kī samt baḌhe jā rahe haiñ log
is shahr meñ to mere sivā koī bhī na thā
Top Urdushayar.com