tire  jalāl  se  ḳhurshīd  ko  zavāl  huā
tire  jamāl  se  mahtāb  ko  kamāl  huā
ḳhirām-e-nāz  meñ  un  ko  ye  kab  ḳhayāl  huā
ki  dil  kisī  kā  pisā  koī  pā.emāl  huā
shabāb  se  tirī  rañgat  kā  turfa  haal  huā
sapīd  joḌā  jo  pahnā  badan  meñ  laal  huā
jo  vasl-e-yār  kī  tadbīr  kī  visāl  huā
ḳhayāl  aish  kā  aayā  to  ik  malāl  huā
hilāl  badar  huā  badar  se  hilāl  huā
yahāñ  kamāl  kisī  kā  na  be-zavāl  huā
hazāroñ  saikḌoñ  paidā  hue  hue  nāpaid
na  ek  dam  bhī  zamāne  ko  e'tidāl  huā
raqīb  qatl  huā  us  kī  teġh-e-abrū  se
harām-zāda  thā  achchhā  huā  halāl  huā
butoñ  kā  zulm  kisī  ne  sunā  na  mahshar  meñ
ḳhudā  se  bhī  mirā  jhagḌā  na  infisāl  huā
kiye  haiñ  ḳhuuñ  se  kisī  ke  ye  dast-o-pā  rañgīn
shikār  taaza  koī  aaj  kyā  halāl  huā
jalāyā  mujh  ko  to  tujh  ko  bhī  lag  gayā  dhabba
jigar  pe  daaġh  mire  ruḳh  pe  tere  ḳhaal  huā
jo  maiñ  junūñ  meñ  gayā  sū-e-dasht  ai  'āġhā'
to  mujh  ko  dekh  ke  dīvāna  har  ġhazāl  huā