daur  sāġhar  kā  chale  saaqī  dobārā  ek  aur
abr  ka.aba  se  uThā  hai  maan  kahnā  ek  aur
jhūmtā  aatā  hai  vo  bādal  kā  TukḌā  ek  aur
sāqiyā  bhar  kar  pilā  de  jām-e-sahbā  ek  aur
din  ko  jo  kuchh  tum  ne  dekhā  ye  to  thī  sab  dil-lagī
shab  ko  rah  jaao  to  dikhlā.eñ  tamāshā  ek  aur
maiñ  unheñ  kahtā  huuñ  tum  bedard  ho  nā-āshnā
vo  lagāte  haiñ  mujhe  ilzām  ulTā  ek  aur
dil  ko  nafrat  ho  ga.ī  nazroñ  se  āḳhir  gir  ga.e
tum  se  behtar  apnī  ā.ankhoñ  meñ  samāyā  ek  aur
kyuuñ  sisaktā  chhoḌe  jaate  ho  mujhe  maqtal  meñ  tum
faisla  kar  duuñ  maiñ  qurbāñ  de  ke  charkā  ek  aur
tere  aane  meñ  tavaqquf  jab  huā  ai  nāma-bar
ḳhat  unheñ  bechain  ho  kar  ham  ne  likkhā  ek  aur
band  mahram  ke  khule  kuchh  be-hijābī  ho  chukī
vo  bhī  ab  uTh  jaa.e  jo  baaqī  hai  pardā  ek  aur
dost  dushman  ho  ga.e  yāroñ  ne  āñkheñ  pher  liiñ
rah  gayā  hai  aap  kā  mujh  ko  bharosā  ek  aur
vasl  kī  shab  meñ  kiyā  murġh-e-sahar  kā  band-o-bast
na.ara-e-allāhu-akbar  kā  hai  dhaḌkā  ek  aur
ho  chukā  zikr-e-dahan  vasf-e-kamar  likhte  haiñ  ham
daam  meñ  sayyād  ke  phañstā  hai  anqā  ek  aur
said  kī  kasrat  se  'āġhā'  ban  paḌī  sayyād  kī
do  ne  gar  paa.ī  rihā.ī  aa  ke  uljhā  ek  aur