Aagha Akbarabadi

maza hai imtihan ka aazma le jis ka ji chahe

Aagha Akbarabadi

mazā hai imtihāñ kā aazmā le jis kā jī chāhe
namak zaḳhm-e-jigar par aur Daale jis kā jī chāhe
jigar maujūd hai to vo banā le jis kā jī chāhe
galā hāzir hai ḳhanjar aazmā le jis kā jī chāhe
agar hai husn kā da.avā mah o ḳhurshīd donoñ meñ
kaf-e-pā se tumhāre muñh milā le jis kā jī chāhe
ye musht-e-ustuḳhvāñ apne kisī ke kaam meñ aa.eñ
humā ho yā sag-e-dildār khā le jis kā jī chāhe
agar hai zindagī baaqī to ham hasrat nikāleñge
dil-e-pur-ārzū par ḳhaak Daale jis kā jī chāhe
faqīroñ ko nahīñ kuchh zīnat-e-duniyā se matlab hai
maiñ ḳhush kambal meñ huuñ oḌhe doshāle jis kā jī chāhe
jo raushan dil meñ un kī raushnī chhuptī nahīñ hargiz
mah-e-tābāñ pe sāhab ḳhaak Daale jis kā jī chāhe
shikāyat mujh ko donoñ se hai nāseh ho ki vaa.iz ho
na samjhā huuñ na samjhūñ sar phirā le jis kā jī chāhe
maiñ huuñ barg-e-ḳhizāñ-uftāda maiñ mardūd dahqāñ huuñ
girā huuñ un kī nazroñ se uThā le jis kā jī chāhe
nahīñ hotā kabhī āb-e-ravāñ par shak najāsat kā
mire ashkoñ ke dariyā meñ nahā le jis kā jī chāhe
chaman meñ gul ke murjhāne se 'āġhā' ho gayā sābit
bisān-e-ġhuncha dam bhar muskurā le jis kā jī chāhe
Top Urdushayar.com