mazā  hai  imtihāñ  kā  aazmā  le  jis  kā  jī  chāhe
namak  zaḳhm-e-jigar  par  aur  Daale  jis  kā  jī  chāhe
jigar  maujūd  hai  to  vo  banā  le  jis  kā  jī  chāhe
galā  hāzir  hai  ḳhanjar  aazmā  le  jis  kā  jī  chāhe
agar  hai  husn  kā  da.avā  mah  o  ḳhurshīd  donoñ  meñ
kaf-e-pā  se  tumhāre  muñh  milā  le  jis  kā  jī  chāhe
ye  musht-e-ustuḳhvāñ  apne  kisī  ke  kaam  meñ  aa.eñ
humā  ho  yā  sag-e-dildār  khā  le  jis  kā  jī  chāhe
agar  hai  zindagī  baaqī  to  ham  hasrat  nikāleñge
dil-e-pur-ārzū  par  ḳhaak  Daale  jis  kā  jī  chāhe
faqīroñ  ko  nahīñ  kuchh  zīnat-e-duniyā  se  matlab  hai
maiñ  ḳhush  kambal  meñ  huuñ  oḌhe  doshāle  jis  kā  jī  chāhe
jo  raushan  dil  meñ  un  kī  raushnī  chhuptī  nahīñ  hargiz
mah-e-tābāñ  pe  sāhab  ḳhaak  Daale  jis  kā  jī  chāhe
shikāyat  mujh  ko  donoñ  se  hai  nāseh  ho  ki  vaa.iz  ho
na  samjhā  huuñ  na  samjhūñ  sar  phirā  le  jis  kā  jī  chāhe
maiñ  huuñ  barg-e-ḳhizāñ-uftāda  maiñ  mardūd  dahqāñ  huuñ
girā  huuñ  un  kī  nazroñ  se  uThā  le  jis  kā  jī  chāhe
nahīñ  hotā  kabhī  āb-e-ravāñ  par  shak  najāsat  kā
mire  ashkoñ  ke  dariyā  meñ  nahā  le  jis  kā  jī  chāhe
chaman  meñ  gul  ke  murjhāne  se  'āġhā'  ho  gayā  sābit
bisān-e-ġhuncha  dam  bhar  muskurā  le  jis  kā  jī  chāhe