nahīñ  mumkin  ki  tire  hukm  se  bāhar  maiñ  huuñ
ai  sanam  tābe-e-farmān-e-muqaddar  maiñ  huuñ
dil  to  hairān  hai  kyuuñ  shashdar-o-muztar  maiñ  huuñ
ishq  kahtā  hai  ki  us  parde  ke  andar  maiñ  huuñ
pairav-e-silsila-e-zulf-e-muambar  maiñ  huuñ
tauq  se  uzr  na  zanjīr  se  bāhar  maiñ  huuñ
āb-rū-e-sadaf  o  zīnat-e-gosh-e-mahbūb
durr-e-nāyāb  jo  sunte  ho  vo  gauhar  maiñ  huuñ
ab  subuk-dosh  maiñ  huuñ  bojh  gale  kā  Tal  jaa.e
teġh-e-qātil  se  ilāhī  kaheñ  be-sar  maiñ  huuñ
tā.er-e-qibla-numā  kā  hai  ishāra  mujh  se
naama  pahuñchāne  ko  pardār  kabūtar  maiñ  huuñ
aa.ī  phir  fasl-e-bahārī  madad  ai  josh-e-junūñ
do  qadam  chal  nahīñ  saktā  huuñ  vo  lāġhar  maiñ  huuñ
nutq  kahtā  hai  ki  iisā  mirā  dam  bhartā  hai
dahan-e-yār  ko  da.avā  hai  ki  kausar  maiñ  huuñ
jaadū  bar-haq  hai  to  kāfir  hai  ayaañ  rā-che-bayāñ
terā  maarā  huā  ai  chashm-e-fusūñ-gar  maiñ  huuñ
mohtasib  ko  bhī  hidāyat  karūñ  mai-noshī  kī
vā.izā  terī  jagah  gar  sar-e-mimbar  maiñ  huuñ
na  unheñ  merī  shikāyat  na  mujhe  un  kā  gila
na  kudūrat  unheñ  mujh  se  na  mukaddar  maiñ  huuñ
hairat-e-husn  se  ik  sakta  kā  aalam  dekhā
ā.īna  muñh  ko  tire  taktā  hai  shashdar  maiñ  huuñ
daur-e-farhād  gayā  ye  hai  zamāna  merā
be-sutūñ  ab  to  uThā.e  hue  sar  par  maiñ  huuñ
āj-kal  husn-e-javānī  pe  jo  hai  un  ko  ġhurūr
naaz  kahtā  hai  ki  andāz  se  bāhar  maiñ  huuñ
barq  o  sīmāb  kā  'āġhā'  na  rahe  nām-o-nishāñ
dil  kī  betābī  se  ik  baar  jo  muztar  maiñ  huuñ