Mukesh Alam

gham-e-firaq bhi aaKHir farogh pa hi gaya

Mukesh Alam

Ludhiana, Punjab, India

1969
ġham-e-firāq bhī āḳhir faroġh pā hī gayā
ki fikr Dhal ke faqīrī meñ raas aa hī gayā
ye raah vo hai ki miTnā bhī paḌ sake hai yahāñ
tū shukr kar ki tirā sirf aasrā hī gayā
milī hai tark-e-ta.alluq se rabt-e-ġham ko baqā
ki ab to milne bichhaḌne kā mudda.ā hī gayā
na ghar rahā na sukūñ nā ye zindagī hī rahī
gayā hai sab na magar dard yā-ilāhī gayā
ye dard-e-ishq hai 'ālam' kisī ke bas meñ kahāñ
rahā rahā na rahā na gayā to nā hī gayā
Top Urdushayar.com