sāmne mere hai duniyā jyuuñ samundar ret kā
aur sab kī zindagī jaise bavanDar ret kā
ret kī dīvār ke saa.e meñ baiThā aadmī
aur saa.e par bharosa dil ke andar ret kā
ret ke mahloñ meñ rahte kārobārī ret ke
jiit kar duniyā rahegā har sikandar ret kā
niiv jaatī hai khisaktī kyā karegā rab yahāñ
dīn-o-maz.hab ret ke haiñ ....aur mandar ret kā
kahne vaalā ek 'ālam' ret ke naġhme kahe
sunñe vaalā ye zamāna jaise manzar ret kā