Saba Afghani

karwan luT gaya rahbar chhuT gaya raat tarik hai gham ka yara nahin

Saba Afghani

Rampur, Uttar pradesh, India

1922-1986

kārvāñ luT gayā rāhbar chhuT gayā raat tārīk hai ġham yaarā nahīñ

raah meñ bhī koī sham.a jaltī nahīñ āsmāñ par bhī koī sitārā nahīñ

ye bahār-o-ḳhizāñ ye ḳhushī aur ġham ye hasīñ nāznīñ dil ke patthar sanam

sab sahāre haiñ bas chaar din ke liye zindagī-bhar koī sahārā nahīñ

merī ġhairat mirī aan imtihāñ terī sāzish pe bhārī hai ai bāġhbāñ

jaan de duuñ abhī ye to manzūr hai gulistāñ chhoḌ duuñ ye gavārā nahīñ

ghaT ga.ī to zauq-e-safar lagan baḌh ga.ī na.ī laġhzishoñ se thakan

koī to baat hai jo sar-e-rah-guzar aaj manzil ne ham ko pukārā nahīñ

tum ho muḳhtār ye dil āvāz hai āḳhir is baat meñ kaun raaz hai

jis ko nisbat tumhāre dar se rahī vo muqaddar bhī tum ne sañvārā nahīñ

is se baḌh kar koī aur kaise jiye umr-bhar ham ne ik bevafā ke liye

kaun raat āñkhoñ meñ kaaTī nahīñ kaun din taḌap kar guzārā nahīñ

raas aa.e jise us ko āsān hai ishq varna har mauj tūfān hai

ai 'sabā' ek dariyā hai ye aag vo bhī aisā ki jis kinārā nahīñ

Top Urdushayar.com